Bolein — Bachano likh lega. Bas itna kehna hai "chai pachas rupay", aur kharcha likha gaya. Aap ka hisaab phone par rehta hai; aawaz Android speech provider process karta hai.
Abhi closed testing mein hai — Google Play par jald.
"Abdullah ko teen hazar tankhwah di"
Har kisi ka andaz alag hai. Bachano teenon samajhta hai.
Mic dabayein aur Urdu, Roman Urdu ya English mein bolein. Bachano raqam, kis ko di, aur kis khate se — sab khud pehchan leta hai.
Bank ya wallet ka SMS aaye to Bachano usay parh kar kharcha khud tayyar kar deta hai. Aap sirf "Add" dabayein.
Purana kharcha yaad aaya? Tareekh chun kar khud likh lein. Har entry baad mein theek bhi ho sakti hai.
Saada, saaf aur Pakistani gharon ke hisaab se banaya gaya.

Har kharcha, tareekh aur khate ke saath

Mahine ka poora naqsha, ek nazar mein
Ek aam ghar ka poora hisaab — ek jagah.
Cash, bank aur wallet — har khate ka apna balance. Pakistan ke 45 bank aur wallet pehle se mojood hain.
Tankhwah, allowance, bonus, kiraya — har qism alag. Mahine ke aakhir mein pata chalta hai kitna bacha.
Kis ko diya, kis se lena hai, kitna wapas aaya — Bachano yaad rakhta hai taake aap ko na rakhna paray.
Har qism ka kharcha alag. PDF report banayein, WhatsApp par bhejein ya khud dekhein.
Aap ka hisaab sirf aap ke liye. Is build mein local database AES-256 se encrypt hota hai. Key na mile to app data nahi kholta.
Ek file banayein aur jahan marzi rakhein — Drive, WhatsApp ya laptop. Naya phone lein to sab wapas.
App ke financial records hamare server par nahi jate. Android ka speech provider aawaz apne servers par process kar sakta hai. Testing signup ka email alag se save hota hai.
Jo log sab se zyada poochte hain.
Ji haan. Abhi Bachano bilkul muft hai aur is mein koi ishtihar nahi. Koi chhupi hui fees nahi.
Ijazat aur scan ke baad app pichlay 30 din ke inbox messages parh kar bank aur wallet transactions dhoondti hai. Filtering se pehle personal messages bhi access ho sakte hain. Bachano SMS ko apne server par upload nahi karta. Agar aap ijazat na dein, Bachano phir bhi poora chalta hai; aap ko kharcha khud likhna hoga.
Manual entry, records aur reports internet ke baghair kaam karte hain. Aawaz ki pehchan Android speech provider aur us ki settings par munhasir hai.
Is liye backup banana zaroori hai. Bachano ek file banata hai jo aap Drive ya WhatsApp par rakh sakte hain. Naye phone par wohi file wapas daalein — khatay, balance, kharchay, sab wapas aa jate hain.
Testing form par apna Google Play email dein; registration ke baad free APK download hoga. Play invitation alag se bheja jayega. Testing mein shamil hon.
Phoenix Labs Pakistan ne — Pakistan mein, Pakistani gharon ke liye.